Category Archives: Poetry

غالب آج جو زندہ ہوتے

غالب آج جو زندہ ہوتے

اور آج بھی نادہندہ ہوتے

تو ممکن ہے گمنام وہ رہتے

خود سے ہم کلام وہ رہتے

شہرت اُن سے دور ہی رہتی

ہنس ہنس کہ بس کہتی رہتی

لوگ تمہیں سب جانیںگے تب

جیب میں اپنی پائینگے جب

میڈیا والے نوٹ تمہارے

ہونگے پھر سب ووٹ تمہارے

حلال چلے گا، حرام چلے گا

مال سے انسٹاگرام چلے گا

گِیو اویز کا چسکا لگایئے

ناقد کو یوں مسکا لگائیے

مرزا، اپنا پِیج بنائیں

فیس بک پہ سب کو بتائیں

یوٹیوب بھی چلتی خوب ہے

مال بنا پر تپتی دھوپ ہے

مئے نوشی کو ترک وہ کرکے

نفس سے اپنے ہر دم لڑ کے

قرض وہ تب بھی سب سے لیتے

ایجنسی کو پر اب دیتے

کام معیاری ہو تو صحیح ہے

نہ بھی ہو تو ٹینشن نہیں ہے

خود پر ہی شرمندہ ہوتے

غالب آج جو زندہ ہوتے

حماد عبدالمتین

Image

Syria, I’m sorry!

Syria

Image

The doleful story

Moon

Dard mein hai mera Gaza

SaveGazaDard mein hai mera Gaza…

Dard mein hai mera Gaza,
Raakh mein, dhuaeyn mein hai,
Aur kahin hai aag mein,
Siskiyon k beech mein, aarahi bus ik sada,
Dard mein hai mera Gaza.
 
Dhundli si tasweer hai,
Khuwaab be-taabeer hai,
Lahu lahu hui hai fiza,
Dard mein hai mera Gaza.
 
Mout ka yahan raaj hai,
Bahaduri ka riwaaj hai,
Bhook hai, nahi hai ghiza,
Dard mein hai mera Gaza.
 
Arab, ajam, sab hi so gaey,
Murda dil jaisey ho gaey,
Chup hai yeh saara jahaan,
Dard mein hai mera Gaza.
 
ALLAH! Aap hi karayn karam,
Hum tou bus maangayn Rehem,
Khatam ho ab yeh saza,
Dard mein hai mera Gaza.
 
Hammad A. Mateen

Pappu yaar tang naa ker

Pappu sanu tang na ker tu,
Baray zaroori kam lage aan,
Sochi payi aan hun ki kariye.
 
Roti shoti khaa bethay aan,
Lassi shassi pee bethay aan,
Hukkay da kash laa bethay aan,
Poonjh paanjh k andron bahron,
Paanday bhi kharka bethay aan,
Sochi payi aan hun ki kariye.
 
Vekh laiyyan ne sub akhbaaran,
Sadday varkay dhul bethay aan,
Saaray akhhar saaray harf suna bethay aan,
Sochi payi aan hun ki kariye.
 
Kaisay kaisay aslay ban gaey,
Vadday vadday maslay ban gaey,
Vadday sheher vasa bethay aan,
Saara chayn ganwa bethay aan,
Sochi payi aan hun ki kariye.
 
Rizq, siyasat, ishq, kavitta,
Kujh vi khaalis rehn na ditta,
Saari khed manjha bethay aan,
Dudh vich sirka paa bethay aan,
Sochi payi aan hun ki kariye.
 
Jee karda si votaan paeyyay,
Marshal Law taun jaan chudaeyyay,
Votan shotan paa bethay aan,
Ae jamhoori raula rappa kinnay saal handa vethay aan,
Sochi payi aan hun ki kariye.
 
Sauda koi puchda naa een,
Rasta koi sujhda naa een,
Rastay de vich aa bethay aan,
Sochi payi aan hun ki kariye.
 
-Professor Anwar Masood
 

‘An apt reflection of the thoughtful nature of a nation which is extremely busy doing nothing.’

Muhabbat kia hai?

Muhabbat kia hai?
Dil ka dard se maamoor hojana,
Mata-e-Jaa’n kisi ko saunp ker majboor hojana.
Muhabbat kia hai?
Dil ka dard se maamoor hojana,
Mata-e-Jaa’n kisi ko saunp ker majboor hojana.
Muhabbat kia hai?
Muhabbat kia hai?
 
Qadam hain raah-e-ulfat mein to manzil ki hawas kaisi,
Qadam hain raah-e-ulfat mein to manzil ki hawas kaisi,
Yahan tou ain manzil hai thakkan se choor hojana,
 
Muhabbat kia hai?
Dil ka dard se maamoor hojana,
Muhabbat kia hai?
Muhabbat kia hai?
 
Yahan tou sirr se pehlay dil ka sauda shart hai yaaro,
Yahan tou sirr se pehlay dil ka sauda shart hai yaaro,
Koi aasaan hai kia sirmad-o-mansoor hojana.
 
Muhabbat kia hai?
Dil ka dard se maamoor hojana,
Muhabbat kia hai?
Muhabbat kia hai?
 
Basa lena kisi ko dil mein dil hi ka kaleja hai,
Basa lena kisi ko dil mein dil hi ka kaleja hai,
Paharon ko tou bus aata hai jal ker toor hojana.
 
Muhabbat kia hai?
Dil ka dard se maamoor hojana,
Muhabbat kia hai?
Muhabbat kia hai?
 
Nazar se door reh ker bhi Taqi wo pass hain meray,
Nazar se door reh ker bhi Taqi wo pass hain meray,
K meri aashiqi ko aib hai mehjoob hojana.
 
Muhabbat kia hai?
Dil ka dard se maamoor hojana,
Muhabbat kia hai?
Muhabbat kia hai?
 
– Mufti Taqi Usmani (D.B.)

Untitled

Yeh ghaazi yeh teray pur-asraar banday,

Jinhe Tu ne bakhsha hai zauq-e-Khudayee,

Do neem inn ki thokar se sehra-o-darya,

Simat kar pahaar inn ki haibat se rayee.

 

Do aalam se kerti hai be-gaana dil ko,

Ajab cheez hai lazzat-e-aashnayee,

Shahadat hai matloob-o-maqsood-e-Momin,

Naa maal-e-ghaneemat na kishwar kushayee.

 

-Dr. Muhammad Iqbal

Mera Saeybaan

‘Dedicated to my father; Mr. Sheikh Abdul Mateen, who has always been an inspiration for me in every walk of life.’

Mere lafz be-hadd qaleel hain,
Shayad buhut haqeer hain,
Phir bhi yeh sach hai jo bhi hai,
Mujhe sach sikhaya hai aap ne.


Pehchaan di,
Mujhe naam diya,
Harr tarah ka aaraam diya,
Lehja diya kalaam mein,
Abbu! janab aap ne.


Halaal kia hai mujhe kia thi khabar,
Farq kia hai iss mein aur Haraam mein,
Kis ne di mujhe yeh tameez?
Abbu! janab aap ne.


Pabandi seekhi pehlay,
Waqt dekhna seekha baad mein,
Kis ne sikhaya mujhe yeh sab?
Abbu! janab aap ne.


Jis ne kaha mujhe khush-naseeb,
Uss ne bhi theek hi hai kaha,
Maine jo maanga aap se,
Mujhe wo dilaya aap ne.


Mujhe deen ki thi kia samajh,
Mera wasta tha kia namaz se,
Iss naimat-e-azeem se,
Mujhko milaya aap ne.


Duniya mein dhokay hain buhut,
Insaan bhi haiwaan bhi,
Iss be-emaanon k shehr mein,
Eemaa(n) bachaya aap ne.


Mera jab utha pehla qadam,
Ungli thi thaami aap ki,
Main larkharaya jo aaj bhi,
Mujhko uthaya hai aap ne.


Iss pyaar ka hai mol kia?
Yeh to Khuda hi hai jaanta,
Mujh pe to bus luta diya,
Saara jahaa(n) hi aap ne.


Meri dua hai buss yahi,
ALLAH k hazoor mein,
Mera saibaa(n) rahay sada,
Uss Rab k hafz-o-amaan mein.


Aameen!

May ALLAH (SWT) bless him with health, prosperity, happiness and a very long life. Aameen !

Hammad A. Mateen

Jaan De Di Maine Unn k Naam Per

Jawab-e-Shikwa